Main Sharaabi nahin lekin Sharaab se door bhi nahin [:p]
Zindagi ke sawalon ka jawab dhoondta hoon,
dard ko kam kar sake wo sharab dhoondta hoon,
waqt ke haathon majboor kalinga, ek shaksh hoon main,
jo jeene ka de bahana wo kitaab dhoondta hoon main.
aaj kal teri har adaa har nazaakat yaad aati hai,
or apni jo sham chadhti hai to paimane me dubh jaati hai,
ab to isi ka sahaara reh gaya tere jaane ke baad,
magar ise bhi jo peeta hun to aankhon se chhalak jaati hai,
behlaane ki koshish to ki dil ko maine bahut magar,
hardum hansta hun phir bhi udasi muh per jhalak aati hai,
ab to ek hi khushi ki aas rehgai is kalingaa ke paas,
unke ik nazar dikhne se jo chehare per chha jaati hai.
Sharab ko gale lagakar, zamane ko bhula diya,
Kuch der ke liye sahi, haskar jee liyaa!
Ho Chuki Mulakaat Abhi Salaam Baaki Hai,
Tumhare Naam Ki Do Ghoont Sharaab Baki Hai,
Tumko Mubarak Ho Khushiyoon Ka Shamyaana,
Kalinga ke Naseeb Me Abhi Do Gaz Zameen Baki Hai
-- Keep Smiling
- - Kalingaa..
No comments:
Post a Comment