Aksar sochta hun qalam se apni mohabbat ki kahani likhun

Hume yeh Ghazal kisi dost se mili hai jo hum aapko jaroor bhejne chahenge .. kyunki bahut din se hume waqt nahin mila kuch likhne ka ...

Aksar sochta hun qalam se apni mohabbat ki kahani likhun jab kabhi likhne ki kosish karta hun
qalam aur dil mera saath nahi dete
na jaane kyun dono hi mujhe shikast de dete hain
hazaaron lamhe hazaaron baatein kayi arman kayi tanha shamein
jab kabhi likhne ki koshish karta hun
qalam in baataon ko zinda hone nahi deta
mere peheli mohabbat meri peheli shikast ke afsaney mere sapne aur tumhari yaadein
jo mere dil mein kahin khoye howe hain
qalam in afsanoo ko kisi ke saamne aane nahi deta
acha hi hai ke yeh daastan ab tak mere dil mein dafan hai
agar in afsanoo ko kagazon per likh don tu jane kya ho jaye
darta hun kahin pardne wala na kho jaye
agar humhari dastan dunia ke samne aa jaye
agar mere bebasi tumhari majbori saamne aa jaye
parde walon ke khayalon ko bhi humhara khayal aa jaye
is liye achcha hai yeh dastan-e-mohabbat humhari chahat ke afsane
kahin andheron mein kho jaye yeh dil ki dastan yehi khwahishen hain


-- Keep Smiling and Keep the Flame Up & Burning
- - Kalingaa..

No comments:

Post a Comment