Dukh Anmol Hote Hain ...

Dukh Anmol Hote Hain
Qudrat Ki Wadeeat Hain
Kabhi Kuch Dey Ke Jate Hain
Kabhi sab Chheen Lete Hain
Kabhi Bechain Karte Hain
Kabhi Jeena Sikhate Hain
Kabhi Bannte Hain Jab Aansoo
Umar Bhar Lahoo Rulate Hain
Kabhi Lub Ki Hansi Ban Kar
Nayi Duniya Sajaate Hain
Kabhi Meethi Kasak Ban Kar
Anjaani Khalish Ban kar
Makeen-E-Dil Yeh Bante Hain
Kisi Soorat Nahin Mit'tey
Jo In Se Door Bhaago Toh
Kaheen Jaane Nahin Dete
Na Zinda Rehne Dete Hain
Na Yeh Aazaad Karte Hain
Nahin Jiski Dawa Koi
Yeh Aisa Dard Hote Hain
Magar Yeh Bhi Ik Haqeeqat Hai
Har Ik Ko To Nahin Milte
Bare Nayaab Hote Hain
Dukh Anmol Hote Hain!!


-- Keep the Flame Up & Burning
- - Kalingaa..

1 comment:

  1. Im From Argentina.. i arrive here by the web of blogger.. I read some things of thins blog and i like it...

    This is my blog...
    http://graciasporelrock.blogspot.com

    Lacan Dropu

    ReplyDelete